Bharam Teri Wafaon Ka Lyrics - Armaan (1953) - Hindi Movie Song
by MrBeans[ Edit ] 2010-02-18 13:34:09
Bharam Teri Wafaon Ka Lyrics - Armaan (1953) - Hindi Movie Song
bharam teri vafaaon ka mita dete to kya hota
tere chehare se ham parda utha dete to kya hota
bharam teri vafaaon ka ...
muhabbat bhi tijaaraat ho gayi hai is zamaane mein
agar ye raaz duniya ko bata dete to kya hota
bharam teri vafaaon ka ...
teri ummeed par jeene se haasil kuch nahi lekin
agar yuhi na dil ko aasra dete to kya hota
bharam teri vafaaon ka ...
Bharam Teri Wafaon Ka Lyrics - Armaan (1953) - Hindi Movie Song