Ek Raja Hai Ek Rani Lyrics - Ek Rishtaa - Hindi Movie Song
ek raja hai ek rani hai
paas paisa hai aur jawani hai
aur kya zindigani hai-2
sab naseebon ki yeh kahani hai
teri chahat ki sab nishani hai
aur kya zindigani hai-2
ghar hai ek mandir tum mere devtaa ho
maine rab se maangi vohi tum duaa ho
kaun humein duniya mein itna pyar dega
itni khushi aur aisa sansar dega
mujhe rehna hai inhi charnon mein
umr baahon mein yun bitani hai
aur kya zindigani hai-2
aisi apni dosti hai aisa dostana
yaad karega humko saara zamana
dosti pe bilkul na karna bharosa
dost banke dete hain log yahan dhoka
dosti hum na kabhi todenge
aaj humne yeh dil mithani hai
aur kya zindigani hai-2
aise gulshan to baharon mein khila karte hain
aise maa baap to naseebon se mila karte hain
maine har roz dua maangi hai tere khatir
mera har khwaab bangaya hai haqeeqat akhir
in rishton ko hum nibhayenge
apni pooja bhi aazmani hai
aur kya zindigani hai-2
ek raja hai ek rani hai
teri chahat ki sab nishani hai
sab naseebon ki yeh kahani hai
hai karam uska meherbaani hai
aur kya zindigani hai-4
Ek Raja Hai Ek Rani Lyrics - Ek Rishtaa - Hindi Movie Song